Skip to main content
Course Wale Qur'ani o Zafrani Nuqoosh सभी प्रकार के रोगों के लिए तौविज़ का कोर्स کورس والے قرآنی و زعفرانی نقوش Course Of Taweezat For All Kind Of Diseases
Quran e Muqaddas me har bimari khwah woh qalbi roohani ho ya jismani ,sehar aaseb shaitani ho ya aafat o bala e nagehani in sab ka kamil ilaj maujood hai is ke elawa insani zindagi se mutalliqa masail maslan shadi biyah ,mohabbat e zaujain, husool e aulad , karobari taraqqi , husool e daulat , talab e shohrat, dushmano se hifazat ,husool e ilm e deeni o dunyawi waghairah waghairah umoor ky liye saheeh ayat ka intekhab taalib mareez ya hajatmand ki maujooda kaifyat ko dekhte hue ek haziq tabeeb e roohani hi kar skta hai jis tarah har jismani maraz ki ek dawa hoti hai thik wese hi quran e muqaddas me us bimari ke liye ek ayat maujood hai jis tarah dunyawi masle ke hal ke liye ek nuskha hua karta hai bilkul usi tarah aayat e qurani azal se insani masail ko hal karne ke liye muqarrar hai,roohani ilaj ke is bunyadi nukte ke pesh e nazar hum ne la tadad Alwah o Naqoosh ,Taweezat o Tilismat Chiragh hama aqsaam tyar ki in me se aaj hum Course wale Qurani o Zafrani Naqoosh ka ta'aruf kara rahe hain taake zaruratmand hazraat o khwateen mustafeed ho.n janna hahiye ke course ke yeh zafrani naqoosh jumla maqasid ke liye tyar ki jati hain agar har ek masle ka tafseelan zikr kia jaye to tahreer pata nahi kahan khatam hogi is waaste hum sirf shifa amraaz wale course ke taweezat ka mukhtasar ta'aruf pesh karte hain behamdehi tabarak wa ta'ala Idara Roohani Imdad ki tyar karda zafrani naqoosh jiske istemal se hazaron marizon ko اللہ رب العزت ne shifa bakhshi jisse najane kitne sehar jadu ke aur jinnat o aaseb ke sataye hue sehatyab hue woh afrad jo kisi bimari me mubtala hain aur shifa yabi ki koi surat nahi banti lakho rupai dawa aur test me kharachne ke bad bhi aaram nahi milta unhe chahiye apna roohani ilaj karayen Khudaye Qadeer ke kalam me woh taseer hai ke murda bhi zinda hojaye is bat par iman aur yaqeen e kamil shart hai ,course ke yeh taweezat mareez ki maujooda mizaji kaifyat maraz ko guzre fauri ya taweel muddat ko dekhte hue tyar ki jati hain is me Zafran khalis Ambar aur Abezamzam ka istemal hota hai.mazkoora teeno ashyaa.n aur woh kaghaz jispar naqoosh likhe jate hain qabal az waqt khas sadri amal parha jata hai aur bad e khatam e naqsh nawesi tamam naqoosh par amal hisaar ka parha jata hai taake yeh nuqoosh jinnati tasarrufaat se mahfooz rahen nuqoosh ki tyari ke dauran besh qimat bakhoor barabar raushan rahta hai jisse naqoosh ki roohaniyat me mazeed izafa ho jata hai ,saiyaron ki sad o nehas nazraat ka isme khas khayal rakha jata hai kiyonke digar lwazimat ke ilawa yeh ek aham aur lazmi shai hai jiske istikhraj me kafi ehtiyat barta jata hai course ke taweezat wa nuqoosh zakat shuda hote hain yeh nahi ke kisi kitab se dekh kar naqal kar di jaye بحمدللہ faqeer e razavi raqimulhuroof khud apne hatho.n se tyar karta hai naqoosh ki tadad maraz ya mas'ale ki nazakat ko dekhte hue mutaiyan kia jata hai kam se kam 90 naqoosh ya taweezat ka course hota hai mamuli maraz me 40 se bhi kam chal jata hai aur kabhi 6 mah yani 180 nuqoosh ka course dia jata hai in taweezat ke sath sehar jadu aur aaseb ke mariz ko jalane wale nuqoosh bhi diye jate hain maraz khwah kaisa bhi sakht ho ktna bhi purana ho chahe isme kitne rupai apne kharach kiye hon in Nuqoosh ki roohani quwaton se istefada karke dekhye apko pata chal jayega ke roohani ilaj ki zaroorat kal bhi thi aur aj bhi hai ,humne sainkdo.n un afrad ka ilaj ki jinka maraz hi pakad me nahi aata tha aur har kisi ke ilaj me yeh lazmi hota hai ke 40 dino ke andar doctors ko maraz ka saheeh pata chal jata hai aur hazaron qisam ke test se mariz ke ghar walo ko nijat milti hai ,amraaz ke naamo ki fehrist banane ke bajaye yeh kahunga ke dunya ka koi aisa maraz nahi jiska roohani ilaj Qurani aayaton ke hawale se maujood na ho yeh bat bhi waazeh rahe ke roohani ilaj apko doctors aur hakeemo se be niyaz nahi karti balke unke zarye kiye jane wale ilaj ko kabhi bila waasta kabhi bilwaasta aasan karti hai apne baarha yeh dekha suna hoga ke jisko kisi dawa se faida na hua usko tabeeb e roohani ne qurani o roohani ilaj se acha kar dia ek aham bat yeh ke bahut se log roohani ilaj me iske asar andaz hone ke aqida ko shart samjhte hain ke agar kisi ka eteqad roohani ilaj par nahi to usko faida na hoga aisa harghiz nahi hai jis tarah taryaq aur zahar apne andar manfi o musbat taseer rakhte hain bilkul usi tarah ayat e qurani se bane zakat shuda naqoosh bhi manfi o musbat taseer ke hamil hua karte hain inko asar andaz hone ke liye samne wale ke eteqad ki pabandi zaroori nahi hum aise afrad ko challenge karte hain jo bilkulya roohani ilaj ke munkir hain woh mahaz tafreeh ke taur par zafrani qurani nuqoosh istemal karke dekhen qasam Khuda ki unka yaqeen is talluq se mustahkam ho jayega aur shak o shubhat ke badal chhat jayenge اللہ تعالی har mariz ko shifaye kamil ata farmaye آمین
Comments
Post a Comment